main wo shaer hun jo shahon ka sana-khwan na hua ye hai wo jurm jo mujh se kisi unwan na hua is gunah par meri ek umr andhere mein kati mujh se is maut ke mele mein charaghan na hua kal jahan phul khile jashn hai zakhmon ka wahan dil wo gulshan hai ujad kar bhi jo viran na hua aankhen kuchh aur dikhati hain magar zehn kuchh aur bagh mahke magar ehsas-e-bahaaran na hua yun to har daur mein girte rahe insan ke nirkh in ghulamon mein koi yusuf-e-kanan na hua main khud aasuda hun kam-kosh hun ya pathar hun zakhm kha ke bhi mujhe dard ka irfan na hua sari duniya mutalatim nazar aati hai 'nadim' mujh pe ek tanz hua rauzan-e-zindan na hua