sari duniya ke talluq se jo socha jata aadmi itne qabilon mein na banta jata dil ka ahwal na puchho ki bahut roz hue is kharabe ki taraf main nahin aata jata zindagi tishna-dahani ka safar thi shayad hum jidhar jate usi rah pe sahra jata sham hote hi koi shama jala rakhni thi jab dariche se hawa aati to dekha jata raushni apne gharondon mein chhupi thi warna shahr ke shahr pe shab-khun na mara jata sare kaghaz pe bichhi thin meri aankhen 'qaisar' itne aansu the ki ek harf na likkha jata