main yan baitha to tum wan uth gae ai yar kya bais hue be-dil hi apne aap kyun bezar kya bais inayat ki nahin agli se ab aasar kya bais kiye hain band tum ne rakhna-e-diwar kya bais kaha main ne mere ghar bhi kabhu aaoge ye bole main kyun aaun mujhe kya wasta kya kar kya bais nidar la-taqnatu padh kar gunahon se tha main apne ye waiz kyun daraate hain mujhe ghaffar kya bais tumhaari khatir-watir mein ai gul-ru ye kya aaya so mujhe kyun dekh kar hanste ho tum har bar kya bais faqat ek did ko nadida dil aur dida hai apna to ai be-did dikhlata nahin didar kya bais pas-e-murdan meri baalin pe ro kar ye lage kahne tu kyun chupka pada hai aashiq-e-bimar kya bais sakhi se som behtar hai jawab saf jo dewe kabhi inkar kya maujib kabhi iqrar kya bais bigad us aaina-ru se nahin gar aap ka 'ehsan' bani hairat se kyun tum surat-e-diwar kya bais