main ye kab kahta hun kambakht unhen yaad na kar shewan-o-ah magar ai dil-e-nashad na kar dard sine mein nihan rah ke asar rakhta hai ham-nashin tak se bayan husn ki bedad na kar apni aankhon ko na khun-naba-fashan hone de muft mein lal-e-khuda-dad ko barbaad na kar phunk de naghma-e-jaan-soz se saman-e-qafas bulbul-e-tafta-jigar shikwa-e-sayyaad na kar lutf jine ka hai jab hi ki dil-e-mast-e-khudi aasman tak se ye kah de meri imdad na kar aql-o-jazbaat ko rakh taba-e-farman apne is ko sar par na chadha aur inhen aazad na kar yas mein phod ke sar marte hain kam-zarf 'amin' zarf aali hai tera bai'at-e-farhad na kar