khush nahin dard se jo ishq ka dawa na kare hosh khone hon to jalwon ka taqaza na kare aatish-e-shauq nahin aatish-e-namrud se kam aag ka dar ho to but-khane pe dhawa na kare ek aawaz se khul jata hai sab dhol ka pol daulat-e-ishq mayassar ho to ghaugha na kare rind wo moatakif-e-kaba-e-hasti hai ki jo zaer-e-dair na ho azm-e-kalisa na kare husn wo husn hai jo ishq ki ramzen samjhe ishq wo ishq hai jo husn ko ruswa na kare gham jise kahte hain wo khun-e-tamanna hi to hai is se bachna ho kisi ko to tamanna na kare hum to kahte hi rahenge dil-e-murda se 'amin' khud agar ji na sake minnat-e-isa na kare