main ye nahin kahta ki mera sar na milega lekin meri aankhon mein tujhe dar na milega sar par to bithane ko hai tayyar zamana lekin tere rahne ko yahan ghar na milega jati hai chali jae ye mai-khane ki raunaq kam-zarfon ke hathon mein to saghar na milega duniya ki talab hai to qanaat hi na karna qatre hi se khush ho to samundar na milega