main zer-e-saya kahin mahw-e-KHwab tha bhi nahin

main zer-e-saya kahin mahw-e-khwab tha bhi nahin
ki aa ke dhup jagati main jagta bhi nahin

harim-e-naz meri dastaras se dur to hai
mere jahan-e-takhayyul se mawara bhi nahin

yahi hai adl to aise nizam-e-adl pe khak
hai fard-e-jurm bhi aaed meri khata bhi nahin

hum apni jaan ke dushman ko apna dost kahen
hamare pas koi aur rasta bhi nahin

hum aa ke apne gharon mein sukun se baith gae
bain-hama koi khatra abhi tala bhi nahin

kahan pe lai hai ye shab-gazidgi hum ko
charagh bujh bhi gae mushtail hawa bhi nahin

asa ko dal den dariya mein rasta ho jae
hamare pas koi aisa moajiza bhi nahin

isi jahan mein 'akhlaq' aise log bhi hain
jo nek bhi hain aur un ka koi khuda bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close