baat mein baat paida kar dena ai khuda mujh ko ye hunar dena ek mera nahin zamane mein kasa-e-rizq sab ka bhar dena har taraf tu hi tu nazar aae ai khuda mujh ko wo nazar dena dushmanon ke dilon ko mom karen meri baaton mein wo asar dena jo hain majbur un ko ai maula sahab-e-eqtidar kar dena hausla azm aur sabr-o-raza daman-e-zindagi mein bhar dena ye dua hai ki ai khuda-e-rahim purkashish meri zat kar dena dil karega ghamon se samjhauta mujh ko 'maqsud' ye khabar dena