maine bhi apne dhyan mein apna safar kiya

main ne bhi apne dhyan mein apna safar kiya
us ne bhi raste ko zara mukhtasar kiya

puchho ki us ke zehn mein naqsha bhi hai koi
jis ne bhare jahan ko zer-o-zabar kiya

sab fasle meri hi khata the mujhe qubul
lekin teri sada ne bhi kitna safar kiya

ek roz badh ke chum liye main ne us ke hont
apne tamam zahr ko yun be-asar kiya

wo wird kar raha tha kisi aur nam ka
tawiz ne mariz pe ulta asar kiya

mujh ko thi na-pasand use shairi pasand
thak-haar ke ye aib bhi aakhir hunar kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close