ped ke patton mein halchal hai khabar-dar se hain sham se tez hawa chalne ke aasar se hain nakhuda dekh raha hai ki main girdab mein hun aur jo pul pe khade log hain akhbar se hain chadhte sailab mein sahil ne to munh dhanp liya log pani ka kafan lene ko tayyar se hain kal tawarikh mein dafnae gae the jo log un ke sae abhi darwazon pe bedar se hain waqt ke tir to sine pe sambhaale hum ne aur jo nil pade hain teri guftar se hain ruh se chhile hue jism jahan bikte hain hum ko bhi bech de hum bhi usi bazar se hain jab se wo ahl-e-siyasat mein hue hain shamil kuchh adu ke hain to kuchh mere taraf-dar se hain