main ne bilkul nahin chaha ki koi baat badhe us ne jab hath badhaya to mere hath badhe yar aise kabhi izzat nahin milne wali apni auqat mein aa jao ki auqat badhe mujhe us se to koi aur nahin tha matlab main ne chaha tha zara mel-mulaqat badhe us ne aagah kiya laut ke jaane se mujhe aur phir meri taraf kitne hi sadmat badhe kuchh sitaron ka gareban nahin bachne wala hath ye mera agar su-e-samawat badhe