sine mohabbaton se munawwar kiye gae

sine mohabbaton se munawwar kiye gae
hum dusron se aise bhi behtar kiye gae

waise tumhaara khauf bhi kafi ziyaada tha
kuchh faisle to khud se bhi dar kar kiye gae

yak dam kisi ne hum ko gale se laga liya
sahra se ek pal mein samundar kiye gae

ba-qaeda hamara liya ja raha tha nam
phir dekhte hi dekhte digar kiye gae

ab aaine ke aage khade sochte hain hum
kuchh tajarbe ziyaada hi khud par kiye gae

ab aap in ko sher kahen ya nahin kahen
kuchh ranj the jo dakhil-e-daftar kiye gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close