maine dhaDkan suni shajar ki raat

main ne dhadkan suni shajar ki raat
nind patton ne be-khatar ki raat

us ne rukhsat kabhi na leni thi
wo bhi mara gaya safar ki raat

bhaunkti rahti hai sitaron par
mere andar kisi khandar ki raat

main ne diwangi mein phade hue
khema-e-khak mein basar ki raat

din to lekin ka dhal gaya sahab
samne hai agar magar ki raat

main hun sayyara-e-falak bezar
mujh mein din hai kahan kidhar ki raat

kholte lawe par guzari hai
ek bujhte hue sharar ki raat

suni dastak 'shafaq' na khwabon ki
hae mujh shakhs-e-be-khabar ki raat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close