shikwa-e-gardish-e-haalat liye phirta hai jis ko dekho wo yahi baat liye phirta hai us ne paikar mein na dhalne ki qasam khai hai aur mujhe shauq-e-mulaqat liye phirta hai shakhcha tut chuka kab ka shajar se lekin ab bhi kuchh sukhe hue pat liye phirta hai sochiye jism hai ab ruh se kaise ruthe apne sae ko bhi jo sat liye phirta hai aasman apne iradon mein magan hai lekin aadmi apne khayalat liye phirta hai partaw-e-mahr se hai chand ki jhilmil 'anwar' apne kase mein ye khairaat liye phirta hai