main ne dil-e-be-tab pe jo jabr kiya hai khun ho ke meri aankhon se ab chhut baha hai jis ko kisi aazar ne hai patthar se tarasha ab shumi-e-taqdir se wo mera khuda hai us ke sitam-o-jaur ka ehsas kise ho us shokh ki surat hi badi hosh-ruba hai mujh bekas-o-awara ki phir aa gai shamat sunta hun ki basti mein kahin qatl hua hai tum un ko saza kyun nahin dete ki jinhon ne mujrim ka zamir aur sukun lut liya hai ab dawa-e-insaf ki auqat khulegi khud shaikh mere shahr ka mukhtar bana hai