main ne irada jab bhi kiya hai udan ka us ko khayal aaya hai tir-o-kaman ka aae khayal apni zamin ka bhi kuchh unhen rakhte hain dard dil mein jo sare jahan ka phir shahr-e-dostan ki taraf gamzan hun main go jaanta hun shahr mein khatra hai jaan ka hum ko zamin se khub-tar aaya na kuchh nazar chakkar laga ke dekh chuke aasman ka az-khud hi khwahishen meri mahdud ho gain aaya khayal jab mujhe apne makan ka