hudud-e-jaan mein had-e-na-rasa se aaya hun main apne aap mein la-intiha se aaya hun chamak rahi hai jabin par safar ki dhul abhi zamin ki dhund mein raushan faza se aaya hun main kis ki aankh mein tabir ki tarah jagun sunahra khwab hun aur qartaba se aaya hun meri hatheli pe raushan najat ka lamha main aaj wadi-e-hamd-o-sana se aaya hun mujhe sambhaal ke rakh shahr-e-be-lihaz ki main kisi faqir-manash ki dua se aaya hun zawal-e-ahd to shayad mujhe na pahchane main ek hawala hun aur karbala se aaya hun