maine is taur se aankhon mein basae ruKHsar

main ne is taur se aankhon mein basae rukhsar
main ne jis samt nazar ki nazar aae rukhsar

ru-ba-ru ho ke musawwir ne meri aankhon mein
ek nazar dekh ke kaghaz pe banae rukhsar

qalb-e-muztar ko mila chain bhari mahfil mein
us ne chilman ko hata kar jo dikhae rukhsar

lafz ghabraate hue kilk se bahar nikle
hae tahrir ki jis waqt sana-e-rukhsar

gesu-e-yar ne is waste pahra rakkha
koi anjaan bashar dekh na pae rukhsar

jab kabhi ashkon ki barish mein nahae rukhsar
lab se nikla mere be-sakhta hae rukhsar

apne rukhsar talak lab nahin jate mere
ji mein aata hai ki chumun main parae rukhsar

ek lamhe ke liye zulfen hati thin 'mehwar'
chashm-e-baatin mein hui qaid ada-e-rukhsar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close