jab mufakkir mere andaz-e-bayan tak pahunche

jab mufakkir mere andaz-e-bayan tak pahunche
meri haalat mere har raaz-e-nihan tak pahunche

wadi-e-ishq mein hum log jahan tak pahunche
koi majnun na koi qais wahan tak pahunche

tifl baqi na rahe pir-o-jawan tak pahunche
mera paigham mohabbat hai jahan tak pahunche

aise shiddat se gale us ne lagaya mujh ko
tir jaise koi aaghosh-e-kaman tak pahunche

kucha-e-yar se ghusse mein nikal aaya tha
us ne puchha bhi nahin aap kahan tak pahunche

apne dil ke kisi goshe mein hamein rahne de
badi mushkil se meri jaan yahan tak pahunche

ye koi ishq nahin hum jo kiya karte hain
ishq aisa ho ki sar nok-e-sinan tak pahunche

chashm-e-tarikh na dekhegi ab aise pyase
ek qatra na piya aab-e-rawan tak pahunche

salb kar lega khuda aap se sari khushiyan
talkh alfaz agar bap ya man tak pahunche

nafs qabu mein rahe hosh rahe izzat ka
jab koi ibn-e-fulan bint-e-fulan tak pahunche

apne mashuq se main ishq ka izhaar karun
meri aawaz jo dahliz-e-saman tak pahunche

dad-o-tahsin se duniya ne nawaza mujh ko
sher ban kar jo mere dard zaban tak pahunche

baad marne ke ye marqad mein pukara 'mehwar'
khair se dosto hum apne makan tak pahunche


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close