main ne jis shakhs ki barson se taraf-dari ki us ne mere hi liye jang ki tayyari ki mere bare mein wo tahqiq kiya karta hai mil gai mujh ko sanad meri wafadari ki jin se iman ki taswir hai tukde tukde guftugu wo bhi kiya karte hain khuddari ki chal diye jaanib-e-manzil ko ba-hamrah-e-junun hum ne to fikr na ki rah ki dushwari ki bazm-e-yaran mein jo khamosh raha karta tha aaj us shakhs ne lafzon ki sharar-bari ki ishq mein dil ko tasalli nahin milne wali phir mere sath mere nafs ne makkari ki uth gaya aaj naqab us ke rukh-e-zeba se tod di us ne wo zanjir hi dildari ki jis jahan mein yun adawat ki chhuri chalti ho kya zarurat wahan 'khurshid' rawadari ki