na-jaane tut ke kab se bikhar raha hun main ki apni zat ka khud ek saneha hun main mere lahu ki zarurat hai tere hathon ko isi tasawwur-e-rangin se ji raha hun main musibaten to hain apni shumar se bahar ki hadsat mein har lahza mubtala hun main na-jaane kaisa safar hai ki kuchh pata hi nahin chala kahan se kahan aa ke ruk gaya hun main na yaad aae koi aur na de koi aawaz nikal ke yaadon ki basti se aa gaya hun main ana ko tod ke aa jaun tere pas magar tera irada na ab tak samajh saka hun main phir aaj sahme hue lamhe yaad aane lage hisar-e-dard mein 'khurshid' ghir gaya hun main