maine jo kuchh kho diya ab isko pa sakta nahin

main ne jo kuchh kho diya ab is ko pa sakta nahin
dil se ye ehsas bhi lekin mita sakta nahin

wo kanar-e-ab baithe chand ugte dekhna
jhil ki tah se wo manzar ab uga sakta nahin

sab dar-o-diwar us ke lams ke maqruz hain
apne ghar se us ki taswiren mita sakta nahin

mat milo is se tumhaari baat main ne man li
us ke gham mein chaar aansu bhi baha sakta nahin

shahar-bhar mein phul ki chadar bichhana hai mujhe
apne shahzadon ko kanton par chala sakta nahin

kuchh banana chahta hun aur ban jata hai kuchh
main khud apne ghar ko naqshe se mila sakta nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close