nipTenge dil se marka-e-rah-guzar ke baad

niptenge dil se marka-e-rah-guzar ke baad
lenge safar ka jaeza khatm-e-safar ke baad

uthne ko in ki bazm mein sab ki nazar uthi
itna magar kahunga ki meri nazar ke baad

sab zor ho raha hai meri sar-kashi pe sarf
kya hoga haal-e-dar-o-rasan mere sar ke baad

ku-e-sitam se guzren to shoridgan-e-ishq
hansne lagenge zakhm-e-jigar zakhm-e-sar ke baad

barq-e-sitam ko nazr karun bhi to kya karun
ab kya raha hai aag lagane ko ghar ke baad

be-khwab kar rahe hain shab-e-gham ke marhale
aankhen jhapak na jaen tulu-e-sahar ke baad

hoga tawil aur bhi afsana-e-wafa
ahl-e-jafa ke tantana-e-mukhtasar ke baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close