main ne kab barq-e-tapan mauj-e-bala mangi thi gungunati hui sawan ki ghata mangi thi dasht-o-sahra se guzarti hui tanhai ne raste bhar ke liye us ki sada mangi thi wo tha dushman mera haara to bahut zakhmi tha main ne hi us ke liye shakh-e-hina mangi thi saeban dhup ka kyun sar pe mere tan diya ai khuda main ne to baadal ki rida mangi thi shakh se tutte patton ki tarah main ne bhi mausam-e-gul tere aane ki dua mangi thi meri uryani ko kafi thi teri parchhain main ne kab chand-sitaron ki qaba mangi thi shahr-e-dilli se hamein aur to kya lena tha apni sanson ke liye taza hawa mangi thi