milan mausamon ki saza chahta hun tere hijr ki intiha chahta hun sadaon se mahrum apni gali mein bas ek teri aawaz-e-pa chahta hun kisi ek halchal mein wo sath hota main aawara-e-shab bujha chahta hun gulabon ke honton pe lab rakh raha hun use der tak sochna chahta hun teri qurbaten rakh hone lagi hain main ab duriyon mein jiya chahta hun koi rahguzar ho kahin ka safar ho main har ja tere naqsh-e-pa chahta hun bahut din hue mor nache nahin hain munderon pe kali ghata chahta hun