main ne kaha ki dil mein to arman hain bahut us ne kaha ki aap to nadan hain bahut main ne kaha ki mujh ko hai jannat ki aarzu us ne kaha ki waqif-e-iman hain bahut main ne kaha ki mahka hua ek gulab hun us ne kaha zamin pe gulistan hain bahut main ne kaha ki meri panahon mein aaiye us ne kaha ki mere nigahban hain bahut main ne kaha ki ek murassa ghazal hun main us ne kaha ki aise to diwan hain bahut main ne kaha ki tark-e-wafa se hun sharmsar us ne kaha ki hum bhi pasheman hain bahut main ne kaha ki rakkhega 'mohsin' adab ki laj us ne kaha ki waise to imkan hain bahut