sahma hai aasman zamin bhi udas hai har ganw aur shahr mein khauf-o-hiras hai ek lamha-e-sukun bhi mayassar nahin hamein tere baghair apna har ek pal udas hai ye kaisi dilkashi hai yahan kaun aa gaya kaisi ye raushni si mere aas-pas hai aawargi ka nam hai tahzib-e-nau yahan aankhon mein sharm hai na badan par libas hai duniya mein apni aap magan hum hain is tarah apnon ka kuchh khayal na rishton ka pas hai masmum si hawaen pata de gain hamein qatil hamara koi yahin aas-pas hai 'mohsin' suna hai hum ne ye kaamil faqir se hoga khuda se aashna jo khud-shanas hai