main ne khud ko jo hai kiya khamosh dard bhi ho gaya mera khamosh jab mere panw mein thakan na mili ho gaya mera rasta khamosh de rahi thi sada mohabbat ki ho gai hai wahi saba khamosh us ko sare jawab milte the main sawalon pe jab raha khamosh zor tufan ne sab laga dala par hua na mera diya khamosh bolna main bhi chahta tha magar kuchh zabanon ne kar diya khamosh maut ki kya use zarurat hai ab to 'irfan' ho gaya khamosh