dhundte kya ho in aankhon mein kahani meri khud mein gum rahna to aadat hai purani meri bhid mein bhi tumhein mil jaunga aasani se khoya khoya hua rahna hai nishani meri main ne ek bar kaha tha ki bahut pyasa hun tab se mashhur hui tishna-dahani meri yahi diwar-o-dar-o-baam the mere hamraaz inhi galiyon mein bhatakti thi jawani meri tu bhi is shahr ka basi hai to dil se lag ja tujh se wabasta hai ek yaad purani meri karbala dasht-e-mohabbat ko bana rakkha hai kya ghazal-goi hai kya marsiya-khwani meri dhime lahje ka sukhnawar hun na sahba hun na josh main kahan aur kahan shoala-bayani meri