main ne kis shauq se ek umr ghazal-khwani ki kitni gahri hain lakiren meri peshani ki waqt hai mere taaqub mein chhupa le mujh ko ju-e-kam-ab qasam tujh ko tere pani ki yun guzarti hai rag o pai se teri yaad ki lahar jaise zanjir chhanak uthti hai zindani ki ajnabi se nazar aae tere chehre ke nuqush jab tere husn pe main ne nazar-e-sani ki mujh se kahta hai koi aap pareshan na hon meri zulfon ko to aadat hai pareshani ki zindagi kya hai tilismat ki wadi ka safar phir bhi fursat nahin milti mujhe hairani ki wo bhi the zikr bhi tha rang-e-ghazal ka 'shabnam' phir to main ne sar-e-mahfil wo gul-afshani ki