mere pyar ka qissa to har basti mein mashhur hai chand tu kis dhun mein ghaltan pechan kis nashshe mein chur hai chand teri khanda-peshani mein kab tak farq na aaega tu sadiyon se ahl-e-zamin ki khidmat par mamur hai chand ahl-e-nazar hans hans kar tujh ko mah-e-kaamil kahte hain! tere dil ka dagh tujhi par tanz hai aur bharpur hai chand tere rukh par zardi chhai main ab tak mayus nahin teri manzil pas aa pahunchi meri manzil dur hai chand koi nahin hamraaz-e-tamanna koi nahin dam-saz-e-safar rah-e-wafa mein tanha tanha chalne par majbur hai chand ishq hai aur kanton ka bistar husn hai aur phulon ki sej tujh ko kaise samjhaun ye duniya ka dastur hai chand teri tabish se raushan hain gul bhi aur virane bhi kya tu bhi is hansti-gati duniya ka mazdur hai chand