main ne sirf apne nasheman ko sajaya sal bhar fasl-e-gul bhi is liye aai hai ab ke dal bhar bad-gumani aai to le jaegi rishte tamam dekhna niklegi in shishon ki hasti baal bhar wo zamana thik tha iman lane ke liye haidar-e-karrar bhar khair aur shar dajjal bhar aaj meri arz par zulfen agar kholega wo kal hasad ki aag mein jal jaega bangal bhar kar diya chaak-e-gareban ne tujhe bhi mo'atabar chal diwane tu bhi ab jeb-e-junun mein mal bhar sajda bhar iman baqi rah gaya hai shaikh ka aur aqidat-e-barahman ki rah gai hai thaal bhar nek-o-bad ki kashmakash mein hain kiraman-katibin chal 'shuja' ab khud hi apna nama-e-amal bhar