yaad ashkon mein baha di hum ne aa ki har baat bhula di hum ne gulshan-e-dil se guzarne ke liye gham ko raftar-e-saba di hum ne ab usi aag mein jalte hain jise apne daman se hawa di hum ne din andheron ki talab mein guzra raat ko shama jala di hum ne rah-guzar bajti hai pael ki tarah kis ki aahat ko sada di hum ne qasr-e-maani ke makin the phir bhi tai na ki lafz ki wadi hum ne gham ki tashrih bahut mushkil thi apni taswir dikha di hum ne