main ne un se jo kaha dhyan mera kuchh bhi nahin hae kis naz se hans hans ke kaha kuchh bhi nahin arz ki kuchh dil-e-ashiq ki khabar hai to kaha han nahin kuchh nahin bas kah to diya kuchh bhi nahin tu na aaya shab-e-wada to gaya kya tera mar mite hum tere nazdik hua kuchh bhi nahin kya hai anjam-e-mohabbat koi puchhe hum se jite-ji khak mein milne ke siwa kuchh bhi nahin kis ki mehr aur wafa ab hai jafa se bhi gurez kyun na jal kar kahen ulfat mein maza kuchh bhi nahin aankhon hi aankhon mein dil le gaya sine se nikal hath se hum ne diya us ne liya kuchh bhi nahin mere allah ye patthar ki buton ka dil hai rahm ruswai ka dar khauf-e-khuda kuchh bhi nahin kaun sa dard hai jis ka nahin duniya mein ilaj lekin is dard-e-mohabbat ki dawa kuchh bhi nahin dekha 'kaifi' ko to be-sakhta yun bol uthe ab to bimar-e-mohabbat mein raha kuchh bhi nahin