lutf ho hashr mein kuchh baat banae na bane aankh bhi shokh sitam-gar se churae na bane mujh ko uthwa to diya us ne bhari mahfil se kaun tha ye koi puchhe to batae na bane baat sari ye hai wo zid pe ade baithe hain yaad ki bhul ho to lakh jatae na bane tum se ab kya kahen wo chiz hai dagh-e-gham-e-ishq ki chhupae na chhupe aur dikhae na bane sidhi baaton pe hai matlub sanad aur subut hain wo kaj-bahas zaban un se milae na bane fath ka raaz hai sabit-qadmi aur himmat kaam bhi hai koi aisa ki banae na bane baat wo kah gae aae bhi to kis tarah yaqin aur sehr is mein kuchh aisa hai bhulae na bane be-kasi ki hai musibat mein shikayat be-sud kab pada waqt ki apne bhi parae na bane gham jo pyare se mile kyun na ho wo bhi pyara bhulna bhi use chahen to bhulae na bane hai nazar mein wo saman naqsh hai jis ka dil par dard wo nam hai lab tak jise lae na bane be-khudi ka hai jahan be-asar naz o niyaz sarkashi bhi na chale sar bhi jhukae na bane aah-e-sard aur bhi bhadkati hai shola dil mein ye diya wo hai jo phunkon se bujhae na bane sard aazad hai dil rashk o numaish hai abas khar khae na bane gul bhi khilae na bane ain yak-rangi hai nairang-e-tamasha har chand ye wo uryani ka parda hai uthae na bane be-khudi mein bhi to 'kaifi' ki ye khuddari hai haal-e-dil puchh bhi len wo to sunae na bane