main ne usi se hath milaya tha aur bas wo shakhs jo azal se paraya tha aur bas lamba safar tha aabla-pai thi dhup thi main tha tumhaari yaad ka saya tha aur bas hadd-e-nigah chaar-su kirnon ka raqs tha pahlu mein chand jhil ke aaya tha aur bas ek bhediya tha dosti ki khaal mein chhupa is ne mere wajud ko khaya tha aur bas phir yun hua hawaen thin raqsan tamam-raat ek taqche mein dip jalaya tha aur bas donon taraf ki ranjishen ashkon mein bah gain ek shakhs mere khwab mein aaya tha aur bas is karzar-e-zist mein hum ne tamam-umr 'arshad' kisi ka ishq kamaya tha aur bas