main ne us ko barf dinon mein dekha tha us ka chehra suraj jaisa lagta tha yun bhi nazren aapas mein mil leti thin wo bhi pahron chand ko takta rahta tha wo galiyan wo raste kitne achchhe the jab wo nange panw ghuma karta tha chaaron-jaanib us ki khushbu bikhri thi hijr ka ek mausam bhi us ke jaisa tha dur kahin aawaz ke ghunghru bajte the aur main kan lagae sunta rahta tha sabz ruton mein aksar mujh ko yaad aaya us ne khat mein sukha patta bheja tha