main apne-ap se ghafil na yun hua hota mere bhi pas agar koi aaina hota zara to soch kar itna hi kar liya hota mujhe kitab samajh kar hi padh liya hota tamam-umr faqat ek aarzu hi rahi kiya tha pyar to phir tut kar kiya hota ye aur baat ki main tujh se dur hun lekin main tere pas bhi hota bhala to kya hota papiha sawanon mein yun pukarta na kabhi agar tu chandni raaton mein mil gaya hota meri bisat ke bare mein puchhne wale kisi faqir ka chehra hi padh liya hota karun to kis se karun main gila jahaalat ka ye aarzu thi ki main bhi padha-likha hota khandar-zamin pe basa leta bastiyan wo bhi agar wo waqt se pahle na mar gaya hota bhari bhari kisi mahfil mein dekh kar us ko main apne jism ke andar hi chhup gaya hota mere qalam se tapakta hua lahu 'rizwi' kisi ki aankh ka kajal hi ban gaya hota