majal kis ki hai ai sitamgar sunae tujhko jo chaar baaten

majal kis ki hai ai sitamgar sunae tujh ko jo chaar baaten
bhala kiya eatibar tu ne hazar munh hain hazar baaten

jo kaifiyat dekhni hai zahid to chal ke tu dekh mai-kade mein
bahak bahak kar maze maze ki sunaenge baada-khwar baaten

fasana-e-dard-o-gham sunaya to bole wo jhuth bolta hai
suni hui hai bahut kahani na hum se aisi baghaar baaten

abhi se hai kuchh udas qasid abhi se hai bad-hawas qasid
sanbhal sanbhal kar samajh samajh kar karega kya be-qarar baaten

tumhaari tahrir mein hai pahlu tumhaari taqrir mein hai jadu
phanse na kis tarah dil hamara jahan hon ye pechdar baaten

buri bala hai ye 'dagh'-e-pur-fan tum is ko hargiz na munh lagana
wagarna dhab par laga hi lega sunin agar us ki chaar baaten


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close