mahshar mein bhi kisi ke uThaenge naz hum

mahshar mein bhi kisi ke uthaenge naz hum
aise niyaz-mand hain ai be-niyaz hum

hogi faqat sharik-e-dua ek bekasi
mayyat par apni aap padhenge namaz hum

waiz yahi na kah de ki paida hi kyon hue
duniya mein aaen aur rahen pak-baz hum

is mein bhi koi bhed hai tum jaante nahin
kahte hain ek ek se kyon dil ke raaz hum

jab sunte hain ki aap pe do chaar mar gae
dilwate hain raqibon ki apne niyaz hum

wo din gae ki 'dagh' thi har dam buton ki yaad
padhte hain panch waqt ki ab to namaz hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close