majlis-e-aish garm ho ya-rab yar agar howe sham-e-bazm-e-tarab khun-e-dil aansuon mein sarf hua gir gai ye bhari gulabi sab mohr hai dagh-e-gham sin dil ki baraat naqd-e-didar hai hamari talab chahiye zahidon kun hujra-e-tang bagh-e-ashiq hai wusat-e-mashrab dil mera hai tere taghaful sin andalib-e-gul-e-bahaar ghazab dil ki jagir hai jamal-abaad jab sin paya hai ishq ka mansab na mile jab talak visal us ka tab talak faut hai mera matlab gul ki manind mat pareshan ho band kar misl-e-ghuncha apne lab shama o parwana sin suna hai 'siraj' sidq-e-dil sin adab hai tark-e-adab