majnun ko apni laila ka mahmil aziz hai tu dil mein hai hamare hamein dil aziz hai abru-o-chashm-o-zulf mizha ki to kahiye kya hum ko to tere munh se tera til aziz hai dil ko kiya jo qatl to us ne bhala kiya mujh ko to apne dil se wo qatil aziz hai itna nahin koi ki pakad aastin meri us se kahe ki tujh pe ye mail aziz hai ja baithte hain chhup ke kabhi hum bhi us jagah is waste hamein teri mahfil aziz hai ek naqsh de ki jis se musakhkhar ho wo pari aisa bhi dosto koi aamil aziz hai kyunkar karun na is dil-e-majruh ka ilaj muddat ka hai rafiq ye ghayal aziz hai ne hur na pari hai na wo mah-mushtari ek nur hai ki sab ko wo hasil aziz hai hijran mein intizar bhi hai us ka mughtanim jo dubta ho us ko to sahil aziz hai aan-o-ada mein thor hi rakhta hai khalq ko apne to fan mein ek wo kaamil aziz hai kyunkar na chahe us ko har ek jaan ki tarah khwahish mein us ki sab hain wo har dil aziz hai hir-phir ke tere kuche mein karte hain hum maqam hum se musafiron ko ye manzil aziz hai sohbat se koi kyunki 'hasan' ke na howe khush shair hai yar-bash hai qabil aziz hai