nam behad the magar un ka nishan koi na tha bastiyan hi bastiyan thin pasban koi na tha khurram-o-shadab chehre sabit-o-sayyar dil ek zamin aisi thi jis ka aasman koi na tha kya bala ki sham thi subhon shabon ke darmiyan aur main un manzilon par tha jahan koi na tha kukti thi bansuri chaaron dishaon mein 'munir' par nagar mein us sada ka raaz-dan koi na tha