makan chhod kar la-makan dekhte hain kahan wo hain aur hum kahan dekhte hain tayyun ka har aastan dekhte hain jahan tum nahin hum wahan dekhte hain utha lete hain hum bhi do-chaar tinke jo bante koi aashiyan dekhte hain qafas mein asiron pe girti hai bijli chaman se jo uthte dhuan dekhte hain nahin dekhte kuchh magar ahl-e-mahshar mujhe ya meri dastan dekhte hain haqiqat mein dair-o-haram ek hain jab tujhe donon ke darmiyan dekhte hain ye aahen hain meri ye nale hain mere jinhen aasman aasman dekhte hain dar-e-yar hai phir dar-e-yar 'afqar' jinan ko ba-hadd-e-jinan dekhte hain