makan dekhe makin dekhe la-makan dekha kahan kahan tujhe dhunda kahan kahan dekha zara jo hum ne unhen aaj mehrban dekha na hum se puchhiye kya rang-e-asman dekha na pahunche baam-e-qafas tak kabhi mere nale wo barq hogi jise gard-e-ashiyan dekha jhuka jhuka hai to han gir pade mere sar par yahi na yas se tha su-e-asman dekha bahut se rind bhi dekhe bahut se zahid bhi unhen to pir hamesha inhen jawan dekha ab aarzuen bar aain ki khak mein mil jaen khuda ne din ye dikhaya unhen jawan dekha ye jaante hain ki dil khak ho gaya jal kar na aag dekhi na uthte hue dhuan dekha bahut hi roe gale mil ke ek ek se hum luta hua jo koi hum ne karwan dekha qafas mein roke sitam tere dekh len sayyaad chaman mein rah ke bahut lutf-e-baghban dekha 'riyaz' khak-e-dar-e-mai-kada tha jite-ji fana ke baad use khuld-ashiyan dekha