zulf dekhi wo dhuan-dhaar wo chehra dekha sach bata dekhne wale use kaisa dekha raat sari kisi tuti hui kashti mein kati aankh bistar pe khuli khwab mein dariya dekha zard galiyon mein khule sabz dariche jin mein dhup lipti rahi aur sae ko jalta dekha kale kamron mein kati sari jawani us ki jis ne ai subh-e-mohabbat tera rasta dekha sunte rahte the ki yun hoga wo aisa hoga lekin us ko to kisi aur tarah ka dekha