makan-e-jaan pe bhala kab makin ka hissa hai ye aasman bhi sarasar zamin ka hissa hai badan ki sari ragen jal gain magar ab tak jo jal na paya kisi dil-nashin ka hissa hai thahar bhi jao ki hai baat kuchh mahinon ki guman ki naf mein zinda yaqin ka hissa hai chhupa hua nahin rahta hai kuchh faqiron ka chamak raha hai jo qashqa jabin ka hissa hai baqa ke sare mazahir tumhaare hisse ke fana ka bab 'shamim'-e-hazin ka hissa hai