chaDhe jo dhup tamazat se jism hanpte hain

chadhe jo dhup tamazat se jism hanpte hain
jo din bujhe to sitaron se raat dhanpte hain

andheri raat pur-asrar ghar makin chup-chap
muhib sae khuli khidkiyon mein jhankte hain

khayal-o-fikr ki taqwim mein sar-e-aflak
diye jalate hain tare ufuq pe tankte hain

shikan se lahje ki dil mein darad padti hai
so be-rukhi tere mathe ke bal se napte hain

shagun ke phul jale surajon ke tasht mein hain
ye kis ke aks hain jo aarsi mein jhankte hain

jo zindagi ki hararat nahin samet sake
wo gham-nazhad sabhi mausamon mein kanpte hain

bahut buland udanon ki aarzu kab hai
hamare khwab to chidiyon se pankh mangte hain

guzarta waqt jinhen raste mein chhod gaya
wo umr bhar ke musafir hain khak phankte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close