makan milte hain kya la-makan nahin milta nishan lakh hain lekin nishan nahin milta kahin bhi jaen kahan aasman nahin milta lahad hi ek jagah hai jahan nahin milta hui hai raushan usi se hamari peshani jabin-e-arsh ko jo aastan nahin milta suni hai main ne bhi rangin-nawai-e-naqus gale se mere ye waqt-e-azan nahin milta ye chahta hun ki be-munh ke aablon se nibhe kahin bhi khar koi be-zaban nahin milta bahaar aate hi phulon ne chhawni chhai ki dhundhta hun mujhe aashiyan nahin milta ye kah raha hai tarannum hawa ki maujon ka khamosh phulon ka husn-e-bayan nahin milta ye shab guzar-e-haram hai zarur ai saqi kisi se raat ko pir-e-mughan nahin milta chale na kaam bhare khum agar na sath chalen haram ki rah mein koson kuan nahin milta shafaq khuli na sar-e-qabr pa-e-rangin se zamin se jhuk ke kabhi aasman nahin milta khuda ke waste pahuncha de koi manzil tak bichhad gaya hun mujhe karwan nahin milta zaban-e-haal mein in ki ajab latafat hai kisi se phulon ka husn-e-bayan nahin milta chale na hath gale par to khud hi chal jae unhen gila hai ki khanjar rawan nahin milta 'riyaz' chhant liya us ne mujh se budhe ko koi bhi dukhtar-e-raz ko jawan nahin milta