wa-e-nadani ye hasrat thi ki hota dar khula hum qafas raaz-e-asiri kya kahen kyunkar khula fursat-e-ranj-e-asiri di na un dhadkon ne hae ab chhuri sayyaad ne li ab qafas ka dar khula allah allah ek dua-e-marg ke do do asar wan khula bab-e-ijabat yan qafas ka dar khula uf is aazadi-e-be-hangam ki majburiyan main qafas ke pas yun baitha hi rahta par khula ujlat-e-parwaz jab milne bhi de rah-e-gurez yun to khulne ko qafas ka dar khula aksar khula band hai bab-e-qafas ho sar to patke jaiye hum ne dekha hai qafas ki tiliyon mein dar khula kam to kya sayyaad be-tabi siwa ho jaegi tu ne nahaq tiliyon mein rakh diya khanjar khula aasman garam-e-talafi chahiye kaisa qafas bijliyon ke ek ishaare mein qafas ka dar khula likh chuke hum ja chuka khat gar yahi haalat rahi hath mein aaya qalam aur shauq ka daftar khula dil mein zakhm ashkon mein khun surat ba-bin-alam-mapras wo nigah uf wo mizha nawak chhupa nashtar khula dam-ba-khud sakte ka aalam murdani chhai hui rang meri zindagi ka meri mayyat par khula dil mein tera dhyan ek muddat raha begana-war khulte hi khulte khula aur kya hi sharma kar khula dekhiye kya gul khilati hai bahaar ab ke baras khwab mein 'fani' ne dekha hai qafas ka dar khula